Insan Ke Zindgi Ka Maqsad Kia Hona Chahiya? ||

Sad-Poetry,Sad-Poetry-In-Urdu,Poetry-In-Urdu ||

Insan Ke Zindgi Ka Maqsad Kia Hona Chahiya.?



Zindagi k maqsad ka sawal wo ha jis ny insaniat ko sadiyun sy uljha rkha, or infradi aqaid, iqdar sakafti pas e manzar k lihaz sy es ka jawab bohot mukhtlif ho skta ha. Agarcha es gehry sawal ka koi aik he size k mutabik jawab nahi ha, laikin mukhtalif nukta e nazar ko talash krny syzindagi mn maini or takmeel kop talash krny mn keemti baseerat mil skti ha.


              Insan ke zindgi ka maqsad kia hona chahiya apky kiyal main.ager du took baat ke jay t insan ke zindgi ka maqsad sirf or sirf ALLAH ko razi krna hona chahiya,kuky ager ALLAH razi tu phir koi tention koi pershani bachti he nai ak muslim ky liya.


     
              Aj kal insan kaha gum hogiya ha kin mumlat main masroof hogiya uske ajkl ke masrofiyat kia ak insan bacha hona say jwani tak balky burhapy tak wo kia krta ha sari zindg.yaha pr aj ham zara apni whole life ko analyse krty hain.sab say pahly tu bacha paida hota or sab say pahli cheez jo us bachy ky liya zrori ha wo ha uske prwarish,k uske perwrish achi honi chahiya sab say pahly wo bacha cheezain kaha ssekhta ha maa ke good main yani maa uske perwarish krti ha tu is ky liya zrori ha maa parhi likhi honi chahiya yaha say hameein taleem ke importance ka pta chlta ha k taleem kitni zrori ha.


sad-poetry



             Kisi bhi bachy ke complete terbiyat ka inhasar uske maa pr hota ha is liya bacho ke tarbiyat man  maa ka educated hona zrori hota ha.bachpan say ly kr jwani tak jo tarbiyt hoti ha ksi bhi bachy ke wo usky liya important hoti ha apni zindgi ka maqsad chun ny main.agr koi shaks jis trah ky mahool main rah raha hoga uske sooch usi trah ke hoge maslan ager koi ameer khandan main rahta ha tu shaid uske ya ban jay mujhy mazeed ameer hona ha.us ny is trah ka apna koi mind set bnaya ho.ager koi shks gheeb ha tu may be balky maximum chance hain ha k uske zindgi maqsad yahi hoga k usky pas ak achi zindgi ho zindgi main thori saholtain hun,thori asaishay hun,zinidgi aram dah honi chahiya kuch had tak ya cheez ghlt bhi nai ha laikn isi ko he apni zindgi ka maqsad nai bnaa lina chahiya


            Hmary zindgi main bhut say goals hoty hain wo sab ky hoty hain normal baat ha unko zror pora krna chahiya lakin usko aoni zindgi ka maqsad nai bna na chahiya.zindgi ka maqsad sirf or sirf ak hona chahiya k ALLAH ko razi krna ager ALLAH razi tu phir sab muamlat hal hain ager ALLAH razi nai tu phir insan ky liya buhit fiqr tlab baat ha.muktasar bat ha k ager ham apni pahli tarjeeh ya bnaa ly k ham ny Allah ko razi krna hatu baqi muamlat asani say hal ho jayien gy,kuky phir Allah ke madad bhi shamil hoge.


           Pori bat ka kulasa ya ha k ham sab kuch choor kr apni pahli trjeeh Allah ko razi krna bnayein.hamri zindgi ka goal jo bhi ho lakin ya baat hmary zahan main ho k hamri zindgi ka maqsad kia ha.ham is duniya main ku ay hain,apny goals ky pechay bhaghny unko pora krny ya phir Allah ko razi krny uske ibadat krny.ham duniya main lay he isi gay hain taky ham Allah ke ibdat kr saky baqi jo bhi ham krty hain ha wo sab secondary cheezain is liya dosri cheezion main gum hojker hamein apni pahli cheez nai bholni chahiya.


         Aj say ham sab ko ayhd krna chahiya k a say hamri zindgi ka pahla maqsd ALLAH ko razi krna hoga baqi duniya ky kam baad ky hain...

Post a Comment

1 Comments