TOPIC :-
Ishq or Muhabbat Main Frq???
Assalam-o-Alaikum friends keasy hain ap sab umeed ha khariyat say hun gy.kush amdeed dosry article main.aj ka hmara topic joky heading ap ap parh he chuky ho gy akhir ishq or muhabbat main kia frq ha.aj ham is per baat krein gy,
Muhabbat:
Muhabbat, is topic ko pechly article main discuss kr chuky hain.Basicaly muhabbat wo ha jis mian ap ko dosra shaks acha lagta ha us say apko ulft hoti ha , us ky sath ap ko time spend krna acha lagta ha.ya muhabbat ap ko kisi say bhi hosakti ha apky dosto say jin ky sath apko time spend krna acha lgta ha, matlab same gender bhi is main ata ha.
Es ky illwa apky bhai say apko muhabbat hoti ha sab ko he hoti ha , ap ke bahn say ap ko muhabbat hoti ha apky parants say apko muhabbat hoti ha.In short muhabbat apko kisi say bhi hosakti ha is main gender matter nai krta,even ky ap ko janwaru say bhi muhabbt hoti ha.ham ya khay sakty hain muhabbat ak broad term ha.
Ya tu hogi general bat muhabbat ky bary main.ab ak or hoti ha muhabbt jo ky buht commn ha opposite gender main.is main loog pagal hoty hain k main tumhary bin jaon ga meri zindgi adhori ha tum bin or is trah ke or batein or daway.isa main logo ke neendain ur jati ha bhook mer jati ha.
Skoon khtam hojata ha.lakin jab hlat ke waja say muhabbt parmanant khtm hojti or shadi kahein or hojati ha tu phir aista aista sab normal hona start hojata ha.phir insaan apni normal or daily life main buzy hojata ha. Uske muhabbat jis ky wo bary bary daway krta ha usko bhool jata ha.Or zindgi main agay barh jata ha joky ak pahlu say achii baat ha.asa 90% hota ha .may be 10% log agay na barh pay possible ha.
Ak or baat muhabbt almost her insan ko hoti ha koi na koi shaks her insan ke life main asa hota ha jo usky liya khas hota ha.joky wo chahta ha wo shaks meri zindgi main mustaqil ajay .lakin sab ky sath asa nai hota kisi ke muhabbt mukamal hoti or kisi ke nai hoti.mari dua ha her wo shaks jo kisi say sachi muhabbt krta ha ALLAH uske muhabbat ko paya takmeel tak pounchay AMEEN!!
Muhabbat main compromise hota dono trf say tu zindgi ke gari chlti ha .is main kabhi man ni parti ha or kabhi manwani parti ha.IS main ak dosry ke pasand ka kiyal rakha jataa.yani is main apko apna kiya bhi ha or apny mahbob ka bhi.
Ishq:
Muhabbat pr tu baat hogai ab ishq ko daikhty hain. ishq ak asa jazba ha jab ya kisi ko kisi say hota ha tu us shaks ko na apna kiyal rahta ha or na he dosro ka wo shaks bas fanna hota jis ko kisi or ka hosh nai rahta apny mahboob ky illwa.Ager isi pahlu say muhabbt ko compare kiya jay tu muhabbt main insaan ko apny mahboob ka bhi kiyal rahta apna bhi.usko fikr tu hoti ha agr uska mahboob na bhi mily tu wo ak na ak din apni life start krlaita ha mager ishq main asa nai hota .
Ishq main ager ashiq ka mahbob din ko raat boly tu wo raat he ha ager raat ko din boly tu wo din he ha .is main argument nai is main justification or na he koi or baat .Is main sirf g hazoor hota ha . ishq main insan wo krta jo uska mahboob bolta wo khata jo usky mahbob ku pasand hota her wo kam krta jo usky mahboob ke pasand ka hota. Is main apni pasand bholni parti ha. Ishq main mainnn (i) nai hoti is main sirf G hoti ha .
Ishq Ke Iqsam:
Du qism ka ishq hota ak ishq haqeeqi jo ky ALLAH ke zaat say hota ha or dosra jo ky ishq majazi jo insaan ko dunyavi cheez say hota.
Ager tu kisi ko ishq haqeqi hogiya us nay ALLAH say lau lgaa liya phir tu us shaks ka bairaa paar ha .Phir us shaks nay akhrt ke kamyabi paa lee joky insaan ke abdi zindgi ha.jo shaks ALLAH ko mahboob bnaa lay phir usko or kia chaiya.Ya ishq ham sab ko hona chahiya...
Agla ishq majazi joky kisi ALLAH ky bandy say hota joky main pahly btaa chuka hun is main insan ko kud ka koi hosh nai bus us ky liya sab kuch uska mahboob ha wo usi ky liya jeeta or marta ha .kabhi kabhi insan ishq mjazi ky chekr main ishq haqeeqi kr baithtaa ha jis mian hee insaan ke bhlai ha
AllAh say dua gu hun ky wo hamy ishq haqeeqi krny ke tufeeq ata fermay baqi duniya ky chuchlu say hamy mahfooz rakhy AMEEN..!!
NOTE:-
(Mery article or in main ke gai batain mery perception say hain. jo main soochta hun.May be kuch logo ko ghlt lgein.hr kisi ka apna point of view hota ha.)
0 Comments